Saturday, February 11, 2006

‘Ak- sar –dard’

Aksar jab ek actor flop hota hai to woh director banne ki kaushish karta hain

Aksar jab ek model apni acchi career ki waat lagana chahta hain to woh actor banne ki kaushish karta hain

Aksar jab ek wannabe actor acting se zyada kiss karne ke liye famous ho jata hain to woh skin flicks ka superstar banne ki kaushish karta hain

Aksar jab ek wannabe actress enough skin dikhane ke baad bhi recognized nahi hothi hain to woh aur skin dikhane ki kaushish karti hain

Aksar jab ek struggling writer ka daaru aur plot khatam ho jaata hai to woh aisi story…sorry..bakwas likhne ki kaushish karta hain

Aksar jab ek ache singer ka ek nasal tone me gaya gana hit hota hain to who har gana waise hi gaakar irritating banne ki kaushish karta hain

Aur jab ek audience zindagi se mayoos hota hain to who suicide karne ke liye aisi film dekhta hain

Par aksar aisi film dekhne ke baad who marta to nahin hain par ak-sar-dard lekar ghar wapis jata hain.

This film is highly recommended as a painless form of suicide.

2 Comments:

Blogger Tridib said...

Mujhe bas itna hi dukh hai ke aap aksar nahin likha karte hain.

10:29 AM  
Blogger The Marauder's Map said...

Bravo! Bravo! Side splitting stuff, maaaen!

2:01 AM  

Post a Comment

<< Home